Posts

Showing posts from August, 2020

Talaash Krta Raha Ha !

Image
Wahan to Mera Koi Naam o Nashaan Nahi Tha Magar, Talaash Karta Raha Ha Jahaan Wo Shakhs Mujhay..!

Majbooriyoun k Naam Pe !

Image
Majbooriyoun Kay Naam Pe Daman Churra Gaye, Wo Log Jin K Mohbaton Main Daway Hazaar Thay.!

Humain To Piyaar Kay

Image
Humain To Piyaar Kay Do Pal Bhi Naseeb Na Huay, Aur BadNaam Aisay Huay Jesay Ishq K Badshah Hm Hi Thay.!

Aaj Kisi Ne Dil Torra To

Image
Aaj Kisi Ne Dil Torra To Hum Ko Jesay Dhiyaan Aaya Jiss Ka Dil Hum Ne torra Tha, Woh Jaanay Kesa Ho Ga..!

Tera Kia Ho Ga!

Image
Tujh Se Mohabbat Teri Aukaat Se Ziyada Ki Thi, Ab Baat Nafrat Ki Ha Soch Tera Kia Ho Ga..!

Urdu Quotes!

Image
Mehnti Shaks k Samnay Pahaar Kankar Ha, Aur Kahil Insaan Kay Samnay Kankar Pahaar.!

Tanha Chaandni!

Image
Kuch To Bata Udaas Raaton Ki Tanha Chaandni, Bhoolnay Waalon Ko Kis Tarha Yaaad Aaaon..!

Ghazal ! Chaandni

Image
Kis Ko Bhati Rahi Raat Bhar Chaandni, Jee Jalaaati Rahi Raaat Bhar Chaandni..!

Haalaat Mere !

Image
Haalaat Mere Mujh Se Na Maaloom Kijiye, Muddat Hui Ha Mujh Se Mera Wasta Nahi Ha.!

Rastay Badal Badal Kay

Image
Rastay Badal Badal Kay Bhi Dekha Magar Wo Shaks, Dil Main Utar Kay Saari Haddain Paar Kar Giya..!

Aansuon ki Thi Kia Bissaat Magar

Image
Aansuon ki Thi Kia Bissaat Magar, Dekhtay Dekhtay Samandar Tha.!

Kis Se Kahiye Aik Tere Begher

Image
Kis Se Kahiye Aik Tere Begher, Kha Gaya Dil Daagh Tanhaai..!

Main Is Liye Usay Ab Tak

Image
Main Is Liye Usay Ab Tak NA Choo Saka, Wo Aayna Ha Usay Sang Zaad Kiya Krna.!

Hamdardiyaan Khaloos Dilasay Tasaliyaan

Image
Hamdardiyaan Khaloos Dilasay Tasaliyaan, Dil Tootnay Kay Bad TAmashay Boht Huay.!

Raat Dehleez Pe

Image
Raat Dehleez Pe Bethi Rahin Aankhain Meri, Tum Na Aaye To Koi Khuwab Hi Bheja Hota.!

Godaam Main Koi Anaaj Khraab Ho Jesay

Image
Godaam Main Koi Anaaj Khraab Ho Jesay, Hum Yun Tere Dil Main Bekaar Parray Hain.!

Kuch Mohabbat Ka Nasha Tha Pehlay Hum Ko

Image
Kuch Mohabbat Ka Nasha Tha Pehlay Hum Ko, Dil Jo Toota To Nashaay Se Mohbbat Ho Gayi..!

Long Urdu Story

بہت عرصہ پہلے ایک جگہ سیب کا ایک بہت بڑا درخت تھا ور روزانہ ایک بچہ وہاں آکر اُس درخت کے اِرد گِرد کھیلا کرتا تھا وہ بچہ اس درخت کی ٹہنیوں سے چمٹ چمٹ کر اس کی چوٹی پر چڑہتا اس کے سیب کھاتا اور تھک کر اس کے سایے کے نیچے لیٹ کر مزے سے اونگھتا وہ بچہ اس درخت سے محبت کرتا تھا اوروہ درخت بھی اس سے محبت کرتا تھا اور اس کے ساتھ کھیلنا پسند کرتا تھا۔ وقت گذرا اور بچہ بڑا ہو گیا اور پھر بچہ ہر روز درخت کے ارد گِرد نہیں کھیلتا تھا ایک دن بچہ واپس آ گیا لیکن وہ دُکھی تھا، درخت نے کہا آؤ میرے ساتھ کھیلو، بچے نے جواب دیا میں اب اتنا چھوٹا نہیں رہا کہ درختوں کے اِرد گِرد کھیلوں مجھے کھلونے چاہیں ، اور کھلونے خریدنے کے لیے مجھے پیسے چاہیں، درخت نے کہا """ میرے پاس تو پیسے نہیں ہیں """ لیکن یہ ہو سکتا ہے کہ تُم میرے سارے کے سارے سیب لے لو اور انہیں بیچ دو تاکہ تُمہیں پیسے مل جائیں بچہ بہت ہی خوش ہو گیا بچہ درخت پر چڑھا اور سارے سیب توڑ لیے اورخوشی خوشی وہاں سے چلا گیادرخت نے اپنے سارے پھل کھو دیے لیکن اُس کی خُوشی سے بہت ہی کم تھا وہ خُوشی جو اُسے بچے کی خُوشی دیکھ کر ہوئ...

Long Urdu Stories

ایک کسان اپنے مالک کے کھیت میں کام کرتے کرتے سوچنے لگا ۔۔۔ کاش کہ میں مالدار ہوتا تو میں زمین خرید لیتا جس میں میں کھیتی کرتا۔۔میں اپنی زندگی سے لطف اندوز ہونا چاہتا ہوں، لذیذ کھانے کھانا چاہتا ہوں اور آرام دہ گھر میں رہنا چاہتا ہوں, اچانک کسی کی آواز سن کر وہ چونک پڑا جو اعلان کر رہا تھا کہ:" بادشاہ سلامت ان کھیتوں کے پاس والے راستے سے آئندہ ہفتے گزریں گے، اور سبھی کسانوں کے لئے ضروری ہے کہ ان کے استقبال اور ان کو سلام کرنے کے لئے صف بستہ ہوکر کھڑے رہیں"۔ کسان نے اپنے دل میں سوچا۔۔۔"یہی موقع ہے۔۔اگر میں نے بادشاہ سے کچھ سونے کے سکے مانگ لئے تو کیا ہوا، اس سے میرے سبھی خواب تو پورے ہو جائیں گے۔۔۔اور وہ کبھی بھی میری درخواست کو رد نہیں کریں گے اس لئے کہ جیسا کہ میں نے سنا ہے وہ اچھے اور بھلے انسان ہیں" اسی طرح کسان ہفتہ بھرخواب بنتا رہا۔۔۔آخر کار وہ دن بھی آ پہونچا۔ تمام کسان بادشاہ کے استقبال کے لئے راستے کے دونوں طرف صف بستہ کھڑے تھے۔۔۔ اچانک دور گاڑیاں دکھائی دیں جنھیں گھوڑے کھینچ رہے تھے، کسان شاہی گاڑی کی طرف دوڑ پڑا اور چلانے لگا:"اے بادشاہ۔۔ اے بادشاہ۔۔ م...

Long Urdu Stories

کسی یونیورسٹی کا ایک نوجوان طالب علم ایک دن اپنے پروفیسر کے ساتھ چہل قدمی کر رہا تھا۔ پروفیسر اپنی مشفقانہ طبیعت کی وجہ سے تمام طالب علموں میں بہت مقبول تھے۔ چہل قدمی کرتے ہوئے اچانک ان کی نظر ایک بہت خستہ حال پرانے جوتوں کی جوڑی پر پڑی جو پاس ہی کھیت میں کام کرتے ہوئے کسی غریب کسان کی لگتی تھی۔ طالب علم پروفیسر سے کہنے لگا: "سر! کسان کے ساتھ کچھ دل لگی کرتے ہیں اور اس کے جوتے چھپا دیتے ہیں اور خود بھی ان جھاڑیوں کے پیچھے چھپ جاتے ہیں اور پھر دیکھتے ہیں کہ جوتے نہ ملنے پر کسان کیا کرتا ہے"۔ پروفیسر نے جواب دیا: "ہمیں خود کو محظوظ کرنے کے لئے کبھی بھی کسی غریب کے ساتھ مذاق نہیں کرنا چاہئیے، تم ایک امیر لڑکے ہو اور اس غریب کی وساطت سے تم ایک احسن طریقہ سے محظوظ ہو سکتے ہو۔" ایسا کرو ان جوتوں کی جوڑی میں پیسوں کا ایک ایک سکہ ڈال دو اور پھر ہم چھپ جاتے ہیں اور دیکھتے ہیں کہ یہ سکے ملنے پر کسان کا کیا رد عمل ہوتا ہے"۔ لڑکے نے ایسا ہی کیا اور پھر دونوں نزدیک ہی چھپ گئے۔ غریب کسان اپنا کام ختم کر کے اس جگہ لوٹا جہاں اسکا کوٹ اور جوتے پڑے ہوئے تھے۔ کوٹ پہنتے ہوئے اس نے...

Abhi Kia Kahain.... Abhi Kia Sunain....?

Image

Bara Shouq Tha Unhay!

Image
Bara Shouq Tha Unhay Mera Aashiyana Dekhnay Ka, Jab Dekhi Meri Ghareebi To Rasata Badal Liyaa.!

Majbooriyuin Kay Naam Pe

Image
Majbooriyuin Kay Naam Pe Lut-ti Hain Hr Gharri, Hawaa Ki Betiyoun Kay Muqaddar bhi Ajeeb Hain.!

Short Urdu Stories

امام احمد بن حنبل رحمتہ اللہ علیہ پر جب نزع کا عالم طاری ھوا تو بیٹے نے پوچھا "ابا جان! کیا حال ھے؟"آپ نے فرمایا: وقت پُرخطر ھے جواب کا موقع نہیں ھے، بس تم دعا سے میری مدد کرتے رھو، میرے دائیں بائیں جو لوگ بیٹھے ھیں ان میں شیطان بھی موجود ھے وہ سامنے کھڑا سر پر خاک ڈال کر کہہ رہا ھے کہ "اے احمد! تو میرے ہاتھ سے جان سلامت لے کر چلا گیا" اور میں کہتا ھوں کہ جب تک ایک سانس بھی باقی ھے شیطان کی گمراھی کا خطرہ موجود ھے۔اللہ اکبر۔۔!!   اتنے بڑے اللہ والے کا یہ حال ھے کہ آخری وقت تک شیطان مردود سے خطرہ محسوس کر رھے ھیں کہ کہیں وہ گمراہ نہ کرے اور ایمان نہ چھین لے۔اور ایک ھم ھیں کہ اپنی ذرا سی نیکیوں پر مطمئن بیٹھے ھیں کہ بس جنت تو ھماری پکی ھے۔اللہ ھمیں نیکی کر کے اسے محفوظ رکھنے کی توفیق عطا فرمائے۔۔آمین

Zabar Nahi Zeir Ho Jaa

Image
Zabar Nahi Zeir Ho Jaa, Kion K Aagay Pesh  Hona Ha.!

Zindagi khaak na thi

Zindagi khaak na thi, khaak urratey guzri, Tujhse kya kehtey tere pass jo Aatey guzri, Din jo guzraa to kisi ki yaad mein guzra, Shaam ayi to koi khawb dikhatey guzri.!

Khushi k geet gaaney ko

Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai, Naseeb-e-gham bhulaaney ko zara si baat kaafi hai, Ghareeb-e-sheher ke ghar udaasi laakh rehti ho, Magar hansne hasaaney ko zara si baat kaafi hai..!

Hum bhi hon ge...

Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar, Magar ik bhoolay huye qissay ki tarah, Kabhi jo na baant pao ge dard to yaad aonga, Hum tum jo they aik jism ke hissay ki tarah.!

Qissa Abhi hijab se agey nahi barha..

Qissa abbi hijaab se agey nahi barha, Main ap, abhi janab se agey nahi barha, Lekin mein pehle baab se agey nahi barha.. Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil, Har shakhs ko apne liye socha nahin kartey.!

Yeh mohabbat bhi kya rog ha Faraz

Yeh mohabbat bhi kya rog ha Faraz, Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya.!

Tum Aaao gay to phoolon ki barsat karen gay...

Image
Tum Aaao gay to phoolon ki barsat karen gay, Mousam k farishto'n say meri baaat hui hai..! 

Un Lamhon Ki Yaadain!

Image
Un Lamhon Ki Yaadain Sambhaal Kay Rakhna, Hum Yaad To Aayein Ge Lakin, Lout Kr Nahi.!

Dil Ki Khamoshi Se Saanson Kay Thehr Jaanay Tak

Image
Dil Ki Khamoshi Se Saanson Kay Thehr Jaanay Tak, Yaad Aaye GA Mujhay Wo Shakhs, Mar Janay Tak.!

Mujh Se Ab Aur Tamaasha Ho Nahi Sakta...

Image
Mujh Se Ab Aur Tamaasha Ho Nahi Sakta, Le Ja Yeh Dikhaway Ki Hansi Bhi Aa Kr.!

Apnay Matlab Kay ilawa...

Image
Apnay Matlab Kay ilawa Kon Kisi Ko Puchta Ha, Shajar Jb Sookh Jaayein To Parinday Bhi Basera Nahi Krty.!

Sara Karishma Mohabbat Ka Ha

Image
Sara Karishma Mohabbat Ka Ha Warna, Pathar Ki Diwaaron Ko Kon Taaj Mahal Kehta Ha.!

Na tumhey hosh rahey...

Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey, Is qadar toot kay chaaho mujhey pagal kar do...!

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai...

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai, Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai, Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho, Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai, Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh, Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai, Dil mera veeran hua to hasrat kesi, Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai, Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye, Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai, Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai, Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai, Tera chahra har chehre per chaa jata hai, Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai, Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal, Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai.

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad...

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye...

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye, Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye, Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye, Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye, Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache, In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye, Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey, Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye, Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye, Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye.. (khatoon;lady)(sar’sari;easy)(mamnoon;thankfull)

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota...

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota, Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota, Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se, Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota, Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta, Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota, Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha, Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota, Gham-o-ranj Aashiqana Nahin, Calculator’aana, Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota, Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan, Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota..!

Shair logon ke bohat yaad hain...

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye, Tun milay to main tujhe shair sunaaon apne..!

Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera...

Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera, Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera, Billi to yunhi muft main badnaam huyi, Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera, Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna, Jis tarah police karti hai chalaan wagera, Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai, Ab apni hatheli pe hain dandaan* wagera, Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar, Yun chaak kiya hum ne garebaan* wagera.. (dandaan;artificial teeth)(garebaan;collars)

Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise...

Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise Shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise Rat ke pichle pahar ati hain avazain si Door shahara main koi chiKh raha ho jaise Dar-o-divar pe chai hai udasi aisi Aaj har ghar se janaza sa utha ho jaise Muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar Dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise Ab agar dub gaya bhi to marunga na Kamal Beh-tey pani pe mera nam likha ho jaise.!

Gulistanon pe hi naheen moqoof..

Gulistanon pe hi naheen moqoof, Junglon me bhi phool khilte hain.!

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye...

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye, Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye, Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil, Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye, Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain, Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye, Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey, Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..!

Yeh kya ke tujhe bhi hai zamaney se shikayat....

Yeh kya ke tujhe bhi hai zamaney se shikayat, Yeh kya ke teri aankh bhi pur’num hai meri jaan.!

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum...

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum, Lekin yeh kya ke tera sheher chorr jayen hum, Muddat huyi hai kuye bataan ki taraf gaye, Awaargi se dil ko kahan tak bachaayen hum, Be’noor ho chuki hai bohat sheher ki fizaa, Tareek raston par kahin kho na jayen hum, Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai, Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum.!

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai...

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai, Dil dharakta hai sahulat se, yehi kaafi hai, Haal dunya ke sataye huye kuch logon ka, Puch lete ho shararat se, yehi kaafi hai, Jo bhi raste mein guzarta hai mere pehlu se, Dekhta hai teri nisbat se, yehi kaafi hai, Muddat’ton se nahin dekha tera jalwa lekin, Yaad ajate ho shidat se, yehi kaafi hai, Saari dunya se ulajhte hain lekin tera kahaa, Maan jate hain sharafat se, yehi kaafi hai, Kya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahin, Katt rahi hai bari izat se, yehi kaafi hai, Aaj ke ehd taghaful mein kisi dar pe Munir, Koi ajaye zarurat se, yehi kaafi hai..!

Bhala gardish e Falak...

Bhala gardish e Falak falak chain deti hai kisay Insha Ghaneemat hai k hum soorat yahan do chaar bethay hain.!

Dil dard ki shiddat se..

Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara, Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara, Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara, Darwaza khula rakhna, Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse, Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse, Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse, Darwaza khula rakhna, Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai, Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai, Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai, Darwaza khula rakhna, Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori, Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori, Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori, Darwaza khula rakhna, Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna, Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna, Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna, Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.

Dil hijr k dard se bojhal hai...

Dil hijr k dard se bojhal hai, ab Aan milo to behter hai, Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho? Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hai, Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho! Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa, Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar hai, Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho! Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai, Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho, Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai, Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho, Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho, Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin, Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho… (Judai:Separation)(Mail:Meet)(Phora:Pi...

Insha G utho ab kooch karo...

Insha G utho ab kooch karo.. Iss shehr me g ka lagana kya Wehshi ko sukoon se kya matlab Jogi ka nagar me thikana kya Iss dil k darida daman me Dekho to sahi socho to sahi Jis jholi me sou chhaid huay Uss jholi ka phailaana kya Shab beeti,chaand bhi doob chala Zanjeer parri darwazy par Kyun dair gaey ghar aaey ho Sajni se karo gay bahaana kya INSHA G utho ab kooch karo Iss shehr me G ka lagaana kya…

Hum jungle ke jogi...

Hum jungle ke jogi, hum ko aik jagha araam kahan, Aaj yahan, kal aur nagar, subah kahan to shaam kahan.!

Aaj to hum ko paagal keh lo...

Aaj to hum ko paagal keh lo, pathar phenko, tanzz kar lo, Ishq ki baazi khel naheen hain, khelo ge to haaro ge..! Ibn e Insha

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe.. Kay sang tujh pe girain aur zakham aye mujhe.. Main ghar se teri tamanna jub pehan k niklun.. Barhana shehr main koe nazar na aye mujhe.. Wo mera dost hai saray jahan ko hai maloom.. Dagha karay wo kisi se to sharm aye mujhe.. Wo mehrbaan hai to iqraar kyu nahi kerta.. Wo bdguman hai to so bar azmaye mujhe.. Main apni zaat main neelam horaha hun QATEEL, Gham-e-hayaat se keh do k kharid laye mujhe..

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye...

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel” Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay.!

Sadmaa to hai mujhe bhi...

Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main, Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main, Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf, Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein, Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath , Har roz ek shaks neya dekhta hoon , Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam , Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main, Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb, Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main, Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”, Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main.!

Ho na ho yeh koi sach...

Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel, Jis ke hathon mein qalam, paon mein zanjeerein hain.!

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon...

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay Qateel Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho

Teri khushbuu meri saanson main...

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye, Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye, Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera, Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye, Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi, Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye, Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par, Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye, Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab, Us se keh do woh mera dil na jalaney aye, Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha, Chott khayi to mere hosh thikaaney aye, Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel, Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko...

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ? Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel” Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?

Tere mehndi lage hathon pe mera naam...

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai, Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai, Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori, Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai, Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se, Labon ko pankhrri*, zulfon ko mene shaam likha hai, Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi, Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai, Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona, Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai, Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon, Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai.. (pankhrri;petal)(buut;idol)(pujaari;worshiper)