Posts

Showing posts with the label Abbas Tabish

Pani ankh mein bhar ker...

Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai Dil per paani peeney ati hain umeedien Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao Esa zakham to dil per khaya jasakta hai Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish Is mein apna aap chupaya jasakta hai

Meri tanhai barhate hain...

Meri tanhai barhate hain chale jate hain, Hanss talaab pe ate hain chale jate hain, Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta, Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain, Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu, Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain, Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai, Aap aate hain rulate hain chale jate hain, Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne, Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain, Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan, Aap to aag lagate hain chale jate hain, Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya, Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain.. Abbas Tabish

Kia Zaroori Ha K Hm Haar K Jeetien...

Kia Zaroori Ha K Hm Haar K Jeetien Tabish Ishq Ka Khel Baraber Bhi To Ho Sakta Hai..!