Posts

Showing posts with the label Ghazal's

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai...

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai, Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai, Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho, Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai, Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh, Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai, Dil mera veeran hua to hasrat kesi, Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai, Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye, Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai, Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai, Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai, Tera chahra har chehre per chaa jata hai, Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai, Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal, Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai.

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye...

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye, Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye, Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye, Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye, Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache, In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye, Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey, Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye, Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye, Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye.. (khatoon;lady)(sar’sari;easy)(mamnoon;thankfull)

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota...

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota, Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota, Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se, Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota, Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta, Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota, Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha, Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota, Gham-o-ranj Aashiqana Nahin, Calculator’aana, Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota, Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan, Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota..!

Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera...

Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera, Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera, Billi to yunhi muft main badnaam huyi, Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera, Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna, Jis tarah police karti hai chalaan wagera, Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai, Ab apni hatheli pe hain dandaan* wagera, Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar, Yun chaak kiya hum ne garebaan* wagera.. (dandaan;artificial teeth)(garebaan;collars)

Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise...

Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise Shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise Rat ke pichle pahar ati hain avazain si Door shahara main koi chiKh raha ho jaise Dar-o-divar pe chai hai udasi aisi Aaj har ghar se janaza sa utha ho jaise Muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar Dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise Ab agar dub gaya bhi to marunga na Kamal Beh-tey pani pe mera nam likha ho jaise.!

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye...

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye, Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye, Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil, Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye, Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain, Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye, Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey, Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..!

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum...

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum, Lekin yeh kya ke tera sheher chorr jayen hum, Muddat huyi hai kuye bataan ki taraf gaye, Awaargi se dil ko kahan tak bachaayen hum, Be’noor ho chuki hai bohat sheher ki fizaa, Tareek raston par kahin kho na jayen hum, Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai, Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum.!

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai...

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai, Dil dharakta hai sahulat se, yehi kaafi hai, Haal dunya ke sataye huye kuch logon ka, Puch lete ho shararat se, yehi kaafi hai, Jo bhi raste mein guzarta hai mere pehlu se, Dekhta hai teri nisbat se, yehi kaafi hai, Muddat’ton se nahin dekha tera jalwa lekin, Yaad ajate ho shidat se, yehi kaafi hai, Saari dunya se ulajhte hain lekin tera kahaa, Maan jate hain sharafat se, yehi kaafi hai, Kya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahin, Katt rahi hai bari izat se, yehi kaafi hai, Aaj ke ehd taghaful mein kisi dar pe Munir, Koi ajaye zarurat se, yehi kaafi hai..!

Dil dard ki shiddat se..

Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara, Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara, Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara, Darwaza khula rakhna, Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse, Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse, Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse, Darwaza khula rakhna, Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai, Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai, Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai, Darwaza khula rakhna, Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori, Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori, Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori, Darwaza khula rakhna, Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna, Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna, Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna, Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.

Dil hijr k dard se bojhal hai...

Dil hijr k dard se bojhal hai, ab Aan milo to behter hai, Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho? Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hai, Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho! Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa, Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar hai, Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho! Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai, Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho, Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai, Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho, Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho, Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin, Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho… (Judai:Separation)(Mail:Meet)(Phora:Pi

Insha G utho ab kooch karo...

Insha G utho ab kooch karo.. Iss shehr me g ka lagana kya Wehshi ko sukoon se kya matlab Jogi ka nagar me thikana kya Iss dil k darida daman me Dekho to sahi socho to sahi Jis jholi me sou chhaid huay Uss jholi ka phailaana kya Shab beeti,chaand bhi doob chala Zanjeer parri darwazy par Kyun dair gaey ghar aaey ho Sajni se karo gay bahaana kya INSHA G utho ab kooch karo Iss shehr me G ka lagaana kya…

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe.. Kay sang tujh pe girain aur zakham aye mujhe.. Main ghar se teri tamanna jub pehan k niklun.. Barhana shehr main koe nazar na aye mujhe.. Wo mera dost hai saray jahan ko hai maloom.. Dagha karay wo kisi se to sharm aye mujhe.. Wo mehrbaan hai to iqraar kyu nahi kerta.. Wo bdguman hai to so bar azmaye mujhe.. Main apni zaat main neelam horaha hun QATEEL, Gham-e-hayaat se keh do k kharid laye mujhe..

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye...

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel” Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay.!

Sadmaa to hai mujhe bhi...

Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main, Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main, Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf, Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein, Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath , Har roz ek shaks neya dekhta hoon , Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam , Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main, Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb, Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main, Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”, Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main.!

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon...

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay Qateel Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho

Teri khushbuu meri saanson main...

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye, Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye, Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera, Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye, Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi, Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye, Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par, Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye, Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab, Us se keh do woh mera dil na jalaney aye, Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha, Chott khayi to mere hosh thikaaney aye, Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel, Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko...

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ? Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel” Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?

Tere mehndi lage hathon pe mera naam...

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai, Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai, Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori, Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai, Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se, Labon ko pankhrri*, zulfon ko mene shaam likha hai, Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi, Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai, Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona, Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai, Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon, Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai.. (pankhrri;petal)(buut;idol)(pujaari;worshiper)

Kaisa dil aur uske kya gham jee...

Kaisa dil aur uske kya gham jee, Yu’n hee baatain banaatey hain, hum jee, Kya bhalaa aasteen aur daaman, Kab se palkein bhi ab nahi nam jee, Ussey ab koi baat kya kerna, Khud se bhi baat kije kam-kam jee, Dil jo dil kya tha, ek mehfil tha, Ab hai darham jee aur barham jee, Baat be-tour ho gayi shayad, Zakhm bhi ab nahi hai, marham jee, Haar duniya se maan le shayad, Dil, hamaare mein ab nahi, dam jee, Hai yeh hasrat ke zibah ho jaun, Hai shikan is shikam ki zaalam jee, Kaise aakhir na rang khele’n hum, Dil lahoo ho raha hai, jaanam jee, Hai kharaaba yeh husniya apna, Roz majlis hai aur maatam jee, Waqt dam bhar ka khel hai usme, Besh az besh hai, kam az kam jee, Hai azal se abad talak ka hisaab, Aur bus ek pal hai peham jee, Be-shikan ho gayi hai woh zulfein, Is gali mein nahi rahe kham jee, Dasht-e-dil ka ghazaal hee na raha, Ab bhalaa kis se kijiye ram jee…

Mujh Ko Begaana Kar Gaye...

Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga Jaanay Kis Ke Ghar Gaye Mere Din Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat Ke Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din Saari Raatain Gayin Meri Be-Haal Mere Din ! Be-Asar Gaye Mere Din Khosha Ab Intezaar Hai Na Umeed Yaar Yaaran ! Sudhar Gaye Ab Din Ab Mein Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein Mar Gaye “Jhon” ! Mar Gaye Mere Din