Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise...
Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise Shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise Rat ke pichle pahar ati hain avazain si Door shahara main koi chiKh raha ho jaise Dar-o-divar pe chai hai udasi aisi Aaj har ghar se janaza sa utha ho jaise Muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar Dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise Ab agar dub gaya bhi to marunga na Kamal Beh-tey pani pe mera nam likha ho jaise.!