Posts

Showing posts with the label Best Urdu Poetry

Qissa Abhi hijab se agey nahi barha..

Qissa abbi hijaab se agey nahi barha, Main ap, abhi janab se agey nahi barha, Lekin mein pehle baab se agey nahi barha.. Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil, Har shakhs ko apne liye socha nahin kartey.!

Yeh mohabbat bhi kya rog ha Faraz

Yeh mohabbat bhi kya rog ha Faraz, Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya.!

Un Lamhon Ki Yaadain!

Image
Un Lamhon Ki Yaadain Sambhaal Kay Rakhna, Hum Yaad To Aayein Ge Lakin, Lout Kr Nahi.!

Mujh Se Ab Aur Tamaasha Ho Nahi Sakta...

Image
Mujh Se Ab Aur Tamaasha Ho Nahi Sakta, Le Ja Yeh Dikhaway Ki Hansi Bhi Aa Kr.!

Apnay Matlab Kay ilawa...

Image
Apnay Matlab Kay ilawa Kon Kisi Ko Puchta Ha, Shajar Jb Sookh Jaayein To Parinday Bhi Basera Nahi Krty.!

Sara Karishma Mohabbat Ka Ha

Image
Sara Karishma Mohabbat Ka Ha Warna, Pathar Ki Diwaaron Ko Kon Taaj Mahal Kehta Ha.!

Dil dard ki shiddat se..

Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara, Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara, Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara, Darwaza khula rakhna, Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse, Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse, Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse, Darwaza khula rakhna, Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai, Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai, Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai, Darwaza khula rakhna, Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori, Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori, Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori, Darwaza khula rakhna, Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna, Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna, Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna, Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.

Dil hijr k dard se bojhal hai...

Dil hijr k dard se bojhal hai, ab Aan milo to behter hai, Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho? Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hai, Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho! Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa, Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar hai, Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho! Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai, Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho, Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai, Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho, Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho, Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin, Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho… (Judai:Separation)(Mail:Meet)(Phora:Pi

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe.. Kay sang tujh pe girain aur zakham aye mujhe.. Main ghar se teri tamanna jub pehan k niklun.. Barhana shehr main koe nazar na aye mujhe.. Wo mera dost hai saray jahan ko hai maloom.. Dagha karay wo kisi se to sharm aye mujhe.. Wo mehrbaan hai to iqraar kyu nahi kerta.. Wo bdguman hai to so bar azmaye mujhe.. Main apni zaat main neelam horaha hun QATEEL, Gham-e-hayaat se keh do k kharid laye mujhe..

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye...

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel” Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay.!

Sadmaa to hai mujhe bhi...

Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main, Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main, Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf, Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein, Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath , Har roz ek shaks neya dekhta hoon , Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam , Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main, Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb, Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main, Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”, Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main.!

Ho na ho yeh koi sach...

Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel, Jis ke hathon mein qalam, paon mein zanjeerein hain.!

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon...

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay Qateel Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho

Teri khushbuu meri saanson main...

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye, Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye, Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera, Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye, Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi, Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye, Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par, Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye, Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab, Us se keh do woh mera dil na jalaney aye, Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha, Chott khayi to mere hosh thikaaney aye, Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel, Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko...

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ? Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel” Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?

Tere mehndi lage hathon pe mera naam...

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai, Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai, Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori, Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai, Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se, Labon ko pankhrri*, zulfon ko mene shaam likha hai, Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi, Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai, Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona, Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai, Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon, Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai.. (pankhrri;petal)(buut;idol)(pujaari;worshiper)

Husnn daulat ka saath deta hai...

Kaun sood-o-ziyaa’n ki duniya mein, Dard-e-ghurbat ka sath deta hai, Jab muqaabil hon ishq aur daulat, Husnn daulat ka saath deta hai.. (sood-o-ziyaan;profit)

Khuda to milta hai...

Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta, Yeh cheez woh hai jo dekhi kahin kahin meine.!

Wo Bhool Jaye Ga Is Trha Se..

Image
Wo Bhool Jaye Ga Is Trha Se, Yaqeen Maano Yaqeen Nahi Aata.!