Posts

Showing posts with the label Ghazal's

Tujh se gilay karoon...

Tujh se gilay karoon tujhe janaa’n manaaon main, Ik bar apne aap mein aaon to aaon main, Dil se sitam ki be’saro kaari hawaa ko hai, Woh gard urraa rahi hai ke khud ko ganwaaon main, Naadim hoon woh ke jis pe nadaamat bhi ab nahin, Woh kaam hain ke apni judai kamaaon main, Kyon’kar ho apne khawab ki aankhon mein wapsi, Kis taur apne dil ke zamamon mein jaaon main, Ik rang si kamaa’n ho khushbu sa ik teer, Marham si ik wardaat ho aur zakham khaon main, Shikwa sa aik dareecha ho, nasha sa ik sakoot, Ho shaam aik sharab si aur larr’khraon main, Phir is gali se apna guzar chahta hai dil, Ab is gali ko kaunsi basti se laaon main.!

kabhi mujh ko sath lekar...

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai vahi champai ujale vahi surmai dhundalake koi phul ban gaya hai koi chand koi tara jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k.!

Judaa honay ka andheshaa...

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey, Hum aik sheher mein ab khush bhi reh nahin saktey, Yeh roz-o-shab hain hamarey ke aik dusrey se, Chupaye phirtey hain ehwaal, keh nahin saktey, Shakist-e-zaat ka izhaar chahtey bhi nahin, Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin saktey, Haqeeqton ki chattanain bhi apni raah main hain, Khayal-o-khawb ke daryaa main beh nahin saktey, Woh be’qasoor hai, aesi bhi koi baat nahin, Qasoor’waar hain hum, yeh bhi keh nahin saktey..

Kal yeh likhti theen...

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin, Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do”, Main safaayi koi doon ga na wazaahat doon ga, Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga, Phir kabhi tumse na milney ki zamanat doon ga, Bas tumhe tark-e-marasim pe yeh zehmat doon ga, Tum ho bechain to mein bhi koi masroor nahin, Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin, Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do”..!

Paikar tha wafa ka...

Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha, Woh shakhss zamaney mein sab se hi juda tha, Chahat ke khazaney they har lafz mein us ke, Daaman mera us ne duaaon se bhar tha, Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar, Baba mera duniya main mujhe aesa jo mila tha, Fikrain na zamaney ki kabhi paas bhi ayin, Hard dard meri hasti se dartaa hi raha tha, Jab taka raha saanson ka basera mere baba, Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha, Us shaam ki hiddat mere dil se nahin jati, Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha..

Pani ankh mein bhar ker...

Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai Dil per paani peeney ati hain umeedien Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao Esa zakham to dil per khaya jasakta hai Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish Is mein apna aap chupaya jasakta hai

Meri tanhai barhate hain...

Meri tanhai barhate hain chale jate hain, Hanss talaab pe ate hain chale jate hain, Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta, Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain, Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu, Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain, Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai, Aap aate hain rulate hain chale jate hain, Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne, Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain, Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan, Aap to aag lagate hain chale jate hain, Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya, Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain.. Abbas Tabish

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga...

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Umer Raaigaan Kardi...

Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hai Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hee Kahani Hai Khail Jo Bhi Tha Jaana.n Ab Hisaab Kia Karna Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai Vasl Per Bhee Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai

Koi Hath Ha Mere Hath Mein

Image
Koi Hath Ha Mere Hath Mein